nigaah_-e-yaar pe palkon ki jo lagaam na ho
badam me door talak zindagi ka naam na ho,
woh be-naqab jo phirta hai gali kooochon men
to kaise shehr k logon me qatl-e-AAm na ho
mujhy yaqeen hai k dunya me dard barh jain
ager ye peenay pilanay ka ehtamaam na ho
bitha k saamne bus dekhta rahun us ko
us k siwa mujhy dunya ka koi kaam na ho
jo us ko daikh le mehtaab ik NAZAR “MOHSIN”
mere sher ki galyon men kabhi shaam na ho………!!
No comments:
Post a Comment