Monday, 13 February 2012

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain (Faiz Ahmad Faiz)


Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain

Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain

Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain

Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain

Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...