Monday 13 February 2012

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi


kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki
dulhan sajaungi
supurd kar k use chandni k hathon
main apne
ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi
samajh na payega
main dil main roungi ankhon main
muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis
se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi
nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar
jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k
uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur
se mansub hua
main kis ki nazm akele main
gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah
raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane
jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na
paungi

____________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...