Monday 13 February 2012

Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada


Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Tere chaar-soo hai sarab sa
Main kisse sach kahoon kisse khuwab sa
Teri aah-o-figan mein asar nahi
Teri shab ki koi sehar nahi
Na hi chand hai na hai chandani
Koi roshni ki lehar nahi
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Mujhe yeh bata tu ne kya kiya
Kiyun jahan hi sara luta diya
Kisi eik shaks ke vaaste
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Tere gham ki jo hai dawa bata
Shab-e-hijr mein jo labo pe thi
Wohi sab se pehli dua bata
Woh palat sake tera ho sake
Koi mujhko aisi wafa bata
Mujhe koi aisa to hurf de
Naya hosla naya zarf de
Ke na tujhse koi gila karoon
Yunhi hans ke sab se mila karoon
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Meri baat sun mere paas aa
Tere saath main bhi to hoon kharra
Us rah mein usi mourr per
Jahan chal diya tha woh chor ker
Kisi aur des ki aour ko
Nayi manzilo ke jahan ko
Jahan mera koi guzar nahi
Gila phir bhi us sey magar nahi
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Chalo usko dete hein dua
Ke woh khush rahe mere siwa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...