Tuesday, 14 February 2012

Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi



Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi
Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat

Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin
Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat

Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya
Ye Payar Nahi Aasaan Bohat

Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya
Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat

Jab bikhar gaye tab ye jaana
Aaty hainn yahan toofan Bohat

Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat
A “kaash” wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat

MY Mooooost Fav



MY Mooooost Fav

Humain Rota Dekh Kar Woh Yeh Keh Kar Chal Diya

Rota To Har Koi Hay.................!!!!
Kya Abb Hum Sab K Ho Jayen

Meri Hr Ghri K HuM safar



Meri Hr Ghri K HuM safar
Meri ULfton Ka Jwab De

Mere Pyar Ka
Mere Ishq Ka

Sbi Chahto Ka Hisab De

mE nE Zindgi Ki Hr Ghari
Teri Justjo mE Guzar Di, Muje Ab Tu Apna Shumar Kr
Muje Bewaja Na Azzab De

mE Bikhr Rha Hoon Tot Kr, Teri ULfton Ki TaLash mE

Mere Ansuon Ko Samet Le
Meri Ankh Ko Koi Khuwab de.

Muhabbat Rooth Jaye to


Muhabbat Rooth Jaye to
Usay Baanhon Main Lay Lena.
Bohat He Paas kar k Tum
Usay Jany Nahi Dena.
Woh Daman Bhi Churaye To
Usay Tum Qasam De Dena.
Dilon k Maamlon Main to
Khataaen ho He Jati Hain.
Magar Tum in Khataaon ko
Bahana Mat Bana Lena.
Muhabbat Rooth Jaye to
Usay Jaldi Mana Lena..!!

Urooj Pe Hai Tumhara Mousam


Urooj Pe Hai Tumhara Mousam
Khizaan Main Tum Ko Khareed Lenge
Bano Ge Hum Se Raham Ke Talib
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge
Ada Ke Qissay Hue Purane
Jafa Ke Mousam Khatam Hi Samjho
Karengen Tum Se Hissab Janan
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge
Wafa Ki Lalach Main Dekho Hum Ne
Khoon Apna Sukha Diya Hai
Faraib-O-Masti Ke Badle Tum Ko
Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

Abhi Is Taraf Na Nigah Kar


Abhi Is Taraf Na Nigah Kar,
Main Ghazal Ki Palkein Sanwaar Loon
Mera Lafz Lafz Ho Ayena
Tujhe Aainey Mein Utaar Loon
Main Tamam Shab Ka Thaka Hua
Tu Tamam Shab Ka Jaga Hua,
Zara Theher Ja Isi Mour Par
Tere Sath Sham Guzaar Loon
Agar Aasman Ki Numaishon Mein
Mujhe bhi Izn-e-Qayam Ho
To Main Motiyon Ki Dukaan Se
Teri baliaan Tere Haar Loon
Kuch Ajnabi Tere Sheher k
Mere Paas Se Yun Guzar Gaye
Unhe Dekh Kar Ye Tarap Hui
Tera Naam Le k Pukaar Loon

Ag barso k bad daykha hay

Image

Jab kabhi tujh ko pukara meri thahai nay

Image

Hasti ko Muhabat may fana kon karay ga?

Image

woh pani ki lehro pay kya likh raha tha???

Image

Pahlay to teri justuju phir tera mala karna

Image

har qadam gurayza tha har nazar may washer they

koi chupkay chupkay kayhta hay


koi chupkay chupkay kayhta hay
koi geet likho meri ankho par
koi share kao mary lafzo par
in khusbu jaysi baro par
chup chap may sunta rayhta hu
phir in jheel c gehari ankho par
ak taza ghalat likh dayta hu
in phool c jaysi baro par
ak shair naya kayh dayta hu
yah geet geet ghalat yah shair maray
sab us k pyar ka darpan hay
sab un k roop ka darshan hay
sab un ki ankh ka kajal hay

Bas ak hi tabasum pay luta datay hayn umrayn


Bas ak hi tabasum pay luta datay hayn umrayn
ham jaysoi ghani logo say kam kam na mila kar

jo meri ankho may khwab daykho...

aj jane ki zid na karo By: Fayaz Hashmi


aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

By: Fayaz Hashmi

ekk muddat baad aaj tujhe likh raha hu .....


ekk muddat baad aaj tujhe likh raha hu .....
kya kahu aaj kal main kaisa dikh raha hu ...

abb sheesho ko dekh kar sawarna nahi hota .....
tere intezaar mein shaamo ka theherna nahi hota....
... ... sochta hu kabhi mill aau tujhse .....
par kya karu , abb un galiyo se mera guzarna nahi hota ....

yeh faasle bhi badhte gaye waqt ke saath yun hi...
sab badal gaye par main badla nahi.....
yaad aye kabhi , toh awwaz laga lena ....
main kal bhi wahin tha , main ab bhi hu wahin...

kam nahin meri zindagi k liye By: Fayaz Hashmi


kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye

ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye

kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye

aisa 'Faiyyaz' gam ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye
By: Fayaz Hashmi

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri By: Fayaz Hashmi


na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri
tasavur main bhi a sakti nahin majaburiyan meri

na tum aye na chain aya na maut ai shab-e-vada
dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri

abas nadaniyon par ap apni naz karte hain
abhi dekhi kahan hain ap ne nadaniyan meri

ye manzil ye hasin manzil javani nam hai jis ka
yahan se aur age barh na ae umr-e-ravan meri
By: Fayaz Hashmi

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai by:Faiz Ahmad Faiz


ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai

aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai

hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai

hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai

wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai

bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai

dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai

ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar
jate jate yun hi pal bhar ko khizan thahri hai

ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad
"Faiz" gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai

by:Faiz Ahmad Faiz

aye kuch abr kuch sharab aye By: Faiz Ahmed Faiz


aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye

bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye
By: Faiz Ahmed Faiz
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...