Saturday 28 April 2012

Yun na mil mujh se khafa ho jaise


Yun na mil mujh se khafa ho jaise
sath chal mauj-e-saba ho jaise

log yun dekh kar hans dete hain
tu mujhe bhul gaya ho jaise

ishq ko shirk ki had tak na barha
yun na mil hamse Khuda ho jaise

maut bhi ai to is naz k sath
mujh pe ehsan kiya ho jaise

aise anjan bane baithe ho
tum ko kuch bhi na pata ho jaise

hichkiyan rat ko ati hi rahin
tu ne phir yad kiya ho jaise

zindagi beet rahi hai "danish"
ek bejurm saza ho jaise

By. Ehsan Danish

Sayed Kami Shah

Kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai


Kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai

k zindagii tirii zulfoN ke narm chaaoN meiN
guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii
ye teeragi jo miri zeest ka muqaddar hai
tirii nazar ki shu’aaoN meiN kho bhi sakti thii

ajab na thaa k maiN begaana-e-alam ho kar
tirii jamaal ki ra’anaaiyoN meiN kho rahtaa
tiraa gudaaz badan terii neembaaz aaNkheiN
inheeN haseen fasaanoN meiN mahv ho rahtaa

pukaarti mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki
tire laboN se halaavat ke ghooNT pee letaa
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur maiN
ghaneri zulfoN ke saaye meiN chhup ke jee letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye ‘aalam hai
k tuu nahiiN tira Gham , teri justajoo bhi nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare ki aarzoo bhi nahiiN

zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa houN gale
guzar rahaa houN kuchh anjaani rah-guzaaroN se
muheeb saaye mirii samt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke purhaul KhaarzaaroN se

na koii jaadaa, na manzil, na roshnii ka suraag
bhaTak rahii hai KhalaaoN meiN zindagii meri
inhii KhalaaoN meiN rah jaaouNgaa kabhii kho kar
maiN jaantaa houN mirii ham nafas magar yuuN hi

kabhi kabhi mere dil meiN Khayaal aataa hai

By: Sahir Ludhyanvi

Dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain


Dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain

ik ik kar k huye jate hain tare raushan
meri manzil k taraf tere qadam ate hain

raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain

kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain

aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya


Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya

Apnay Ujray Huay Gulshan Ko Bohat Yaad Kiya

Jab Kabhi Gardish-e- Taqdeer Ne Ghera Hai Hamain

Gaisua-e- Yaar Ki Uljhan Ko Bohat Yaad Kiya

Shama Ki Jot Pe Jaltay Huay Parwanon Ne

Ik Tere Shola Daman Ko Bohat Yaad Kiya

Jis Ke Mathay Pe Nayee Subah Ka Jhoomar Hoga

Hum Ne Uss Waqt Ki Dulhan Ko Bohat Yaad Kiya

Aaj Tootay Huay Sapnon Ki Bohat Yaad Aayee

Aaj Beetay Huay Sawan Ko Bohat Yaad Kiya

Hum Sar-e- Tor Bhi Mayoos-e- Tajalli Hi Rahay

Is Dar-e- Yaar Ki Chilman Ko Bohat Yaad Kiya

Mutmayeen Ho Hi Gaye Dam-o- Qafas Main Saghar

Hum Aseeron Ne Nasheman Ko Bohat Yaad Kiya

By: Saghar Siddiqui 

Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata,


Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata,

Mujhe Bhool Kar Tujhe Kya Mila,

Meri Hasraton Ka Hisaab Dey,

DiL Torr Kar Tujhe Kya Mila,

Tere 4 Din Kay Pyaar Se,

Mujhe Umar Bhar Ka Ghum Mila,

Main Toot Kar Bikhar Gaya,

Mujhe Torr Kar Tujhe Kya Mila.. !!

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi


Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamal Bhi

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi

Dil To Chamak Sake Ga Kya Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo
Shishaa Garan-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamal Bhi

Os Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha
Ab Jo PalaT Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek ShaKhs Wo Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se YuN Gira Bhool Gaya Sawal Bhi

Shaam Ki Nasamajh Hawa Puuch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi

Os Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho,


Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, 
Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho
Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, 
Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho

Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, 
Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho
Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, 
Tuur Hee Bark e Tajalli Say Jala Daitay Ho.

Munaver Rana Poetry

aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?


aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?
kaisi sargooshi kartay hoo, aray kaya logo ?
koye payghaam e zubani bhi nahi, kuch bhi nahi
hum nay apnay ko bohat dair sambhala logo
band anhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
neend see neend ? humain ab na uthana logo
aik he shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
apnay ayaam mein amrooz na farda logo
aab koye aye tu kehna kay, musafir tu gaya
yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo
rah tuktay howay pathra see gai theen ankhain
aah bhartay howay chalni howa seena logo
hoont jaltay thai jo layta tha kabhi aap ka naam
iss tarhaan aur kissi ko na saatana logo.

Na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya


Na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya
jo bache hain sang samet lo, tan-e-dag dag luta diya

mere charagar ko naved ho, saf-e-dushmanan ko khabar karo
wo jo qarz rakhte the jan par, wo hisab aj chuka diya

karo kaj jabin pe sar-e-kafan, mere qatilon ko guman na ho
ki gurur-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hamne bhula diya

udhar ek harf ki kushtani, yahan lakh uzr tha guftani
jo kaha to sun k ura diya, jo likha to parh k mita diya

jo ruke to koh-e-garan the ham, jo chale to jan se guzar gaye
rah-e-yar hamne qadam qadam, tujhe yadagar bana diya.

Shayier Ali Ji

کوئی اور ہے، نہیں تُو نہیں، مرے روبرُو کوئی اور ہے



کوئی اور ہے، نہیں تُو نہیں، مرے روبرُو کوئی اور ہے
بڑی دیر میں تجھے دیکھ کر، یہ لگا کہ تُو کوئی اور ہے
یہ گناہگاروں کی سرزمیں ہے بہشت سے بھی سوا حسیں
مگر اس دیار کی خاک میں سببِ نمُو کوئی اور ہے
جسے ڈھونڈتا ہوں گلی گلی وہ ہے میرے جیسا ہی آدمی
مگر آدمی کے لباس میں وہ فرشتہ خُو کوئی اور ہے
کوئی اور شے ہے وہ بے خبر جو شراب سے بھی ہے تیز تر
مرا مے کدہ کہیں اور ہے، مرا ہم سبُو کوئی اور ہے
ناصر کاظمی

اب اُن سے اور تقاضائے بادہ کیا کرتا



اب اُن سے اور تقاضائے بادہ کیا کرتا
جو مل گیا ہے میں اُس سے زیادہ کیا کرتا
بھلا ہوا کہ ترے راستے کی خاک ہوا
میں یہ طویل سفر پا پیادہ کیا کرتا
مسافروں کی تو خیر اپنی اپنی منزل تھی
تری گلی کو نہ جاتا تو جادہ کیا کرتا
تجھے تو گھیرے ہی رہتے ہیں رنگ رنگ کے لوگ
ترے حضور مرا حرفِ سادہ کیا کرتا
بس ایک چہرہ کتابی نظر میں ہے ناصر
کسی کتاب سے میں استفادہ کیا کرتا
ناصر کاظمی

کلیوں کی مہک ہوتا، تاروں کی ضیا ہوتا



کلیوں کی مہک ہوتا، تاروں کی ضیا ہوتا
میں بھی تیرے گلشن میں پھولوں کا خدا ہوتا

ہر چیز زمانے کی آئینہ دل ہوتی
خاموش محبت کا اتنا تو صِلہ ہوتا

تم حالِ پریشاں کی پُرسش کے لیے آتے
صحرائے تمنّا میں میلہ سا لگا ہوتا

ہر گام پہ کام آتے زلفوں کے تیری سائے
یہ قافلئہ ہستی بے راہنما ہوتا

احساس کی ڈالی پر اِک پُھول مہکتا ہے
زُلفوں کے لیے تم نے اِک روز چُنا ہوتا

ساغرؔ صدیقی

Baharon ki masti ka asar acha nahi Hota.,


Baharon ki masti ka asar acha nahi Hota.,

Shajar sokha hwa Ho to Samar acha nahi Hota.,

Jo mumkin Ho to raste se koi jugno pakar lena.,

Tanha andheri raton ka safar acha nahi Hota.,

Wahin betho jahan saya milay apne darakhton ka.,

Kisi k ghar k angan ka shajar acha nahi Hota.,

Chalo acha hoa dehleez se wapis palat aye.,

Jahan apnay na bastay Hon wo Ghar acha nhi hota.,

hum apnay khwab kion biachain?


Faqeerana ravish rakhtay they
laikin is qadar nadaar b kub they
k apnay khwab baichain
hum apnay zakhm ankhon mein liye phirtay they
laikin ru kashay bazar hum kub they
humaray hath khali they
magar aisa nahi phir b
k hum apni dardeeda damni
alfaz k jugnu
liye gallion mein awaz lagatay
"khwab lai lo khwab"
logo
itnay kum pindaar hum kub they
hum apnay khwab kion baichain
k jin ko dekhnay ki arzu mein
hum ne ankhain tak ganwa di thi
k jin ki ashqi mein
aur hawa khwahi mein
har targheeb ki shammain bhuja di thi
chalo hum bay nawa
mehroomay satf-o-baam-o-dar thehrey
chalo hum bad muqadar bay hunar thehrey
per apnay aasmaan ki dastaanain
aur zameen k anjum-o-mahtaab kion baichain
khareedaro!
tum apnay kaghzi anbaar laye ho
hawas ki mandion se darham-o-deenar laye ho
tum aisay daam to har baar laye ho
magar tum per hum apnay harf k taus
apnay khoon k sarkhaab kion baichain
humaray khwab baywuqqat shai
tabeer se aari sahi
per dil zadon k khwab hi to hain
na yeh khwab-e-zulaikha hain
k apni khwahishon k yusafon per tuhmatain dhartay
na yeh khwab-e-azeezay misr hain
tabeer jis ki us k zindaani biyaan kartay
na yeh un amiron k khwab
jo bay asra khalq-e-khuda ko daar per layen
na yeh gharat garon k khwab
jo auron k khwabon ko tahay shamsheer kar jayen
humaray khwab to ehl-e-safa k khwab hain
harf-o-nava hain
mahjoor darwazon k khwab
mahsoor awazon k khwab
aur hum yeh dolatay nayab kion biachain
hum apnay khwab kion biachain?

Teri baargah mei Ay Khuda..!


Teri baargah mei Ay Khuda..!
Junhe sar ko mane jhuka dya..
Usi waqt teri Khudai ne..
Mujhe pastiyon se utha dya..
Main zaleel tha, main haqeer tha..
Teray dar ka aik faqeer tha..
Tuney aik he sajday mei..
Mujhy kia se kia bna dya..
Rag e jaan se bhe tu qareeb hai..
Tu he Likhta sb ka naseeb hai..
Jisay chaha pal mei utha dya..
Jisay chaha pal mei gira dya..

Jab us k dar se main utha malaal koi na tha


Jab us k dar se main utha malaal koi na tha
Key meri jholi main baqi sawaal koi na tha
Bahaar ay’ii to apna siwaeey zindaan key
Tamam shehar main preshan haal koi na tha
Kahan se la k bichaey tumhari raah main phol
K daal daal to kiya khaal khaal koi na tha
Wo din theek thay jab dil main rut badalne ka
Guman o khuwab yaqeen o khyal koi na tha
Yaqeen kar k teri aankh uthney se pehle
Meri nigah k sheshay main jaal koi na tha
Hua jo youn to ye khobi teray hunar ki thi
Meri wafaon main mera kamal koi na tha

Tu mere zakhm-e-talab ka “tazkara” ab kam se kam hoga


Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna

Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga

Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga

Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga

Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam

Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena

Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta

Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti

Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai

Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna

Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna

Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai

Tu mere zakhm-e-talab ka “tazkara” ab kam se kam hoga
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...