Monday 13 February 2012

Mujhse pahli si mohabbat mere mehboob na maang (Faiz Ahmad Faiz)


Mujhse pahli si mohabbat mere mehboob na maang
maine samjha tha ke tu hai to daraKshaaN hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dahar ka jhagaDa kya hai
teri surat se hai aalam meiN bahaaroN ko sabaat
teri aankhoN ke siwa duniya mein rakhaa kyaa hai

tu jo mil jaaye to takadeer nigon ho jaaye
youn na tha, main ne faqat chaahaa tha youN ho jaae
aur bhi dukh hain zamaane meiN mohabbat ke siwa
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke siwa
mujh se pehali si mohabbat, mere mehboob, na maaNg

anginat sadiyoN ke taarik bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kimkhaab se saje jism
khaak meiN lithaDe hue khooN meiN nahalaaye huye
jism nikale hue amaraaz ke tanavvuroN se
pip bahati hui galate hue naasu=uroN se
laut jaati hai idhar ko bhi nazar kyaa kije
ab bhi dilakash hai teraa husn, magar kya kije

aur bhi gham hain zamaane meiN mohabbat ke siwa
raahateiN aur bhi haiN vasl ki raahat ke siwa
mujh se pahali si mohabbat, mere mehboob, na maaNg

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...