Aaj Roothay Huay Sajan Ko Bohat Yaad Kiya
Apnay Ujray Huay Gulshan Ko Bohat Yaad Kiya
Jab Kabhi Gardish-e- Taqdeer Ne Ghera Hai Hamain
Gaisua-e- Yaar Ki Uljhan Ko Bohat Yaad Kiya
Shama Ki Jot Pe Jaltay Huay Parwanon Ne
Ik Tere Shola Daman Ko Bohat Yaad Kiya
Jis Ke Mathay Pe Nayee Subah Ka Jhoomar Hoga
Hum Ne Uss Waqt Ki Dulhan Ko Bohat Yaad Kiya
Aaj Tootay Huay Sapnon Ki Bohat Yaad Aayee
Aaj Beetay Huay Sawan Ko Bohat Yaad Kiya
Hum Sar-e- Tor Bhi Mayoos-e- Tajalli Hi Rahay
Is Dar-e- Yaar Ki Chilman Ko Bohat Yaad Kiya
Mutmayeen Ho Hi Gaye Dam-o- Qafas Main Saghar
Hum Aseeron Ne Nasheman Ko Bohat Yaad Kiya
By: Saghar Siddiqui
mousam ki jhalak
ReplyDelete