Ab aay mere ehsaas-e-Junoon, kya mujhe dena
Darya usay bakhsha hai to sehra mujhe dena
Tum apna makaan jab karo taqseem to yaaron
Girti hui deewar ka saaya mujhe dena
Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh se toota hua lamha mujhe dena
Tum mera badan odh ke phirte raho Lekin
Mumkin ho to ek din mera chehra mujhe dena
Chuu jaye hawa jise to khushboo teri aaye
Jate hue ek zakham to aisa mujhe dena
Ek dard ka mela hai, laga hai dil-o-Jaan me
Ek rooh ki awaaz, ke rasta mujhe dena
Ek taaza ghazal izn-e-Sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhe dena
Wo mujh se kahin barh ke musibat me tha Mohsin
Reh reh ke magar uska dilasa mujhe dena
No comments:
Post a Comment