Wednesday 15 February 2012

Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,


Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,
Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,
Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,
Bholi si adaa,
koi phir ishq ki zidd par hai,
Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai।

USKA HAAL BATAYE KYA.


VAH ISHQ JO HAMSE RUTH GAYA HAI,
AB USKA HAAL BATAYE KYA.
VAH JAHAR JO DIL MEIN UTAR LIYA,
PHIR USKE NAAZ UTHAYE KYA.
FIR AANKHE LAHOO SE KHALI HAI,
YEH SHAMAN BUJHNE WALI HAI.
HUM KHUD BHI KE SAWALI HAI,
IS BAAT PE HUM SHARMAYEN KYA.
EK AAG GAM-E- TANHAI KI,
JO SAARE BADAN MEIN FAL GAYI.
JAB JISM HI SAARA JALTA HO,
TO FIR DAMAN-E-DIL KO BACHAYE KYA.
JO ISQA HUMSE RUTH GAYA HAI,
USKA HAAL BATAYE KYA.

YAADEIN HI YAADEIN......


Woh school ki seedi woh pyaar bhari baatein,,,
Woh syllabus ki tension woh exam ki raatein,,,
Woh canteen ki party woh b'day ki laatein,,,
Woh ruthna manana woh bunk mulakate,,,,

Library mein woh sona
temporary woh music woh movie woh cards ki magic,,,,

Proposal ki planning mein raat ka gujarna,,,
Fir class k peehche ki seat pe sona,,,,

Library mein jakar chehro ko padna,,,
Betuki bato ko seriously lena,,,,
Woh matlab ki batein hasi mein udana,,,,

Na woh din hai na raate na gussa na baatein,,,,
Agar Kuch Hai To Bas "YAADEIN HI YAADEIN"......

kyun aajkal homework kam orkut jyada hai


kyun aajkal homework kam orkut jyada hai
lagta fail hone ka pura-pura iraada hain
kal tha topper aaj 40 bhi jyada hain
lagta fail hone ka pura-pura iraada hain
kya mujhe pyar hain aah
orkut se pyar hain aah
kya mujhe pyar hain aah
orkut se pyar hain aah
o o o o o ...

College ki inn classes me,
boring si ek teacher hai
jabse mila hai orkut
badla har ek manzar hain
dekho jahaan mein neeli neeli iss screen tale
dost naye naye hain jaise milte hue
orkut mere khwaabon mein jawaabon mein sawaalon mein
har din chura orkut ko main laata hoon khayalon mein
kya mujhe pyar hain aah
orkut se pyar hain aah
kya mujhe pyar hain aah..??
orkut se pyar hain aah .....?

nahak gila hai humse


nahak gila hai humse
beja hai shikayat bhi,
hum laut ke aa jate
ek bar aawaj to di hoti. 

tumse pyar karke main deewano mein shamil hua,
pal pal teri yad mein jalkar parwano mein shamil hua,
jis anjam ke hone se darta tha usi ka shikar hua,
aakhir teri barat mein barati bankar shamil hua.

phoolon ko jahan khilna tha wahi khilte to achcha tha,
humne aap ko chaha aap hi humain milte to achcha tha.
Muqader ko sayad yahi tha manjoor ab Talak...
Uss roz tum humain na dikhte tu acha tha.....

hoti nahi dosti surat se,


hoti nahi dosti surat se,
dosti to dil se hoti hai.
surat unki khud hi pyari lagti hai,
kadar jinki is dil mein hoti hai.

pyar se tabtak pyar karo,
jabtak pyar aapse pyar na karne lage.
jab pyar aapse pyar karne lage,
tab use itna pyar karo ki 
vo kisi aur se pyar na kar sake.

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai


aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]

hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein


hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein
chale aaye the tum
khushiyon ki saugaat aur pyaar ke rang
sang laaye the tum

ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
chahat ka ehsaas liye sukoon ban kar
dil mein samaye the tum

khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
ghum ke badal gehre hain
jabse juda hue ho tum

kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum

dil ki bebasi kaise kahun
aankhon se aansoo banke behte ho tum
tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna


Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna

Jana tum nay apnay khat may...

khusi meri cheen lee usne,


khusi meri cheen lee usne,
muskurane bhula diya..
gam de diya mujhe,
zindgi bhar rulane ke liye........

kaise jeete wo bichad ke log
ye humne jana hai..
kaise zinda hai wo log ye hamne jana hai..
hamne to apne katil ko dekha tak nhi........

koi kisi se juda ho khuda na kare,
kisi ka pyar bewafa wo khuda na kare,
zuda ho jaye is jism se jaan
yaar ko khuda kabhi zuda na kare...

BAS YEHI DUA HAI TUJH SE MERI…………!


KYA LIKHUN MAI AAJ YAAD ME TERI, 
KYA MAANGU MAI AAJ FARYAAD ME MERI. 


CHAHTA TO BAHUT KUCH HUN KHUDA SE MERE, 
LEKIN KASHMA KASH ME HAI ZINDAGI YE MERI. 


JAB DEKHA PEHLI BAAR TUJHE TO DIL SE YE FARYAAD NIKLI,
PAAUNGA TO SIRF TUJHE WARNA AE KHUDA YE MERI JAAN HAI TERI.


YAARON NE KAHA YE KYA KIYA TUNE SAATH ME MAANGI MAUT APNI,
MAINE KAHA MERE SAATH TO KHUDA HAI WO ZAROOR BANEGE MERI.


LEKIN DHEERE DHEERE WO MUJH SE DOOR HONE LAGI,
MAINE SAMJHA HOGI USKI BHI KOI MAJBOORI. 


IDHAR MAI BE KHABAR USKE INTZAAR ME BAITHA, 
MAJBURI ME WO TADAP RAHI THI JUDAI ME MERI. 


LEKIN WO THI BEKHABAR MERI US FARYAAD SE, 
JAB HUI KHABAR TO RONE LAGI YAAD ME MERI. 


AE KHUDA TARAS KHAA HUM DONO KE HAALAAT PAR, 
KAR WO JO TUJHE HO MANZOOR, 


BAS YEHI DUA HAI TUJH SE MERI…………!

Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,


Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..

Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..

Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..

Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………

composed by..Dr.kumar vishwas
a good poet,,,,I M VERY LIKE THISSSS

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,


Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,

Ahhh, Phir Laut Aya Hain December............

Kabhi weeraan shehroon mein


Kabhi weeraan shehroon mein
Kabhi sunsaan rastoon per
Kabhi hairaan aankhoon mein
Kabhi be-jaan lamhoon per
Mujhe tum yaad aate ho..!
Suhaani shaam ho koi
Kaheen badnaam ho koi
Bhale gulfaam ho koi
Kisi ke naam ho koi
Mujhe tum yaad aate ho..!
Kaheen baarish baras jaaye
Kaheen sehra taras jaaye
Kaheen kaali ghatta utray
Kaheen baad-e-saba thehray
Tumhare aur mere darmeyaan
aa kar Khuda thehray
To, meri zindagi ke
awwal-o-aakhir
Khuda ke baad aatay ho
Mujhe tum yaad aate ho..!!
Mujhe tum yaad aate ho.

Sari dunya k rawajon se adawat ki thi.


Sari dunya k rawajon se adawat ki thi.
Tum ko yad he jab min ne ik hamaqat ki thi.

Use raazdan smajh kar bataya tha haal e dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.

Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Min ne ik nam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.

Us ko chor k hanste hoe ghar a k.
Itna roye the k ankhon ne qayamat ki thi.

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Min ne bas itna btaya k min ne un se muhabat ki thi.

Apne hothon par sajana chahata hun


Apne hothon par sajana chahata hun 
Aa tujhe main gunagunana chahata hun 
Koi ansu tere daman par girakar 
bund ko moti banana chahata hun 
Thak gaya main karate karate yad tujhko 
ab tujhe main yad ana chahata hun 
Cha raha hai sari basti may andhera 
raushani ho ghar jalana chahata hun 
Akhari hichaki tere zanon pe aye 
maut bhi main shayarana chahata hun

Musafir to bicharte hain, rafaqat kab badalti hai



Musafir to bicharte hain, rafaqat kab badalti hai


Mohabbat zinda rehti hai, mohabbat kab badalti hai


Tumhi ko chahte hain hum, tumhi se pyar karte hain


Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai

Tera pehlu tere dil ki tarah abaad rahe



Tera pehlu tere dil ki tarah abaad rahe


Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki


Is ne jalti hui peshani pe jab haath rakha


Rooh tak aa gayi taseer maseehai ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...