Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi
Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamal Bhi
Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi
Dil To Chamak Sake Ga Kya Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo
Shishaa Garan-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamal Bhi
Os Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha
Ab Jo PalaT Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi
Meri Talab Tha Ek ShaKhs Wo Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se YuN Gira Bhool Gaya Sawal Bhi
Shaam Ki Nasamajh Hawa Puuch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi
Os Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi
No comments:
Post a Comment