Saturday, 28 April 2012

Kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai


Kabhii kabhii mere dil meiN Khayaal aataa hai

k zindagii tirii zulfoN ke narm chaaoN meiN
guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii
ye teeragi jo miri zeest ka muqaddar hai
tirii nazar ki shu’aaoN meiN kho bhi sakti thii

ajab na thaa k maiN begaana-e-alam ho kar
tirii jamaal ki ra’anaaiyoN meiN kho rahtaa
tiraa gudaaz badan terii neembaaz aaNkheiN
inheeN haseen fasaanoN meiN mahv ho rahtaa

pukaarti mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki
tire laboN se halaavat ke ghooNT pee letaa
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur maiN
ghaneri zulfoN ke saaye meiN chhup ke jee letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye ‘aalam hai
k tuu nahiiN tira Gham , teri justajoo bhi nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare ki aarzoo bhi nahiiN

zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa houN gale
guzar rahaa houN kuchh anjaani rah-guzaaroN se
muheeb saaye mirii samt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke purhaul KhaarzaaroN se

na koii jaadaa, na manzil, na roshnii ka suraag
bhaTak rahii hai KhalaaoN meiN zindagii meri
inhii KhalaaoN meiN rah jaaouNgaa kabhii kho kar
maiN jaantaa houN mirii ham nafas magar yuuN hi

kabhi kabhi mere dil meiN Khayaal aataa hai

By: Sahir Ludhyanvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...