Saturday 28 April 2012

hum apnay khwab kion biachain?


Faqeerana ravish rakhtay they
laikin is qadar nadaar b kub they
k apnay khwab baichain
hum apnay zakhm ankhon mein liye phirtay they
laikin ru kashay bazar hum kub they
humaray hath khali they
magar aisa nahi phir b
k hum apni dardeeda damni
alfaz k jugnu
liye gallion mein awaz lagatay
"khwab lai lo khwab"
logo
itnay kum pindaar hum kub they
hum apnay khwab kion baichain
k jin ko dekhnay ki arzu mein
hum ne ankhain tak ganwa di thi
k jin ki ashqi mein
aur hawa khwahi mein
har targheeb ki shammain bhuja di thi
chalo hum bay nawa
mehroomay satf-o-baam-o-dar thehrey
chalo hum bad muqadar bay hunar thehrey
per apnay aasmaan ki dastaanain
aur zameen k anjum-o-mahtaab kion baichain
khareedaro!
tum apnay kaghzi anbaar laye ho
hawas ki mandion se darham-o-deenar laye ho
tum aisay daam to har baar laye ho
magar tum per hum apnay harf k taus
apnay khoon k sarkhaab kion baichain
humaray khwab baywuqqat shai
tabeer se aari sahi
per dil zadon k khwab hi to hain
na yeh khwab-e-zulaikha hain
k apni khwahishon k yusafon per tuhmatain dhartay
na yeh khwab-e-azeezay misr hain
tabeer jis ki us k zindaani biyaan kartay
na yeh un amiron k khwab
jo bay asra khalq-e-khuda ko daar per layen
na yeh gharat garon k khwab
jo auron k khwabon ko tahay shamsheer kar jayen
humaray khwab to ehl-e-safa k khwab hain
harf-o-nava hain
mahjoor darwazon k khwab
mahsoor awazon k khwab
aur hum yeh dolatay nayab kion biachain
hum apnay khwab kion biachain?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...