Wednesday 8 February 2012

Sabhii kuch hai tera diya hua sabhii raahatain sabhii


Sabhii kuch hai tera diya hua sabhii raahatain sabhii kalafatain Kabhi sohabatain kabhi furqatain kabhi dooriyaan kabhii qurbatain
Ye suKhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varq teri yaad ke Koii lamhaa subah-e-visaal ka, kaii shaam-e-hijr ki qurbatain
Jo tumhari maan lain naasihaa to rahe ga daaman-e-dil main kiya Na kisi uduu ki adaavatain na kisi sanam ki muravatain
Chalo aao tum ko dikhaayain hum jo bacha hai maqtal -e-shahar main Ye mazaar ahal-e-safaa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbatain
Meri jaan aaj ka Gham na kar, ke na jaane kaatib-e-vaqt ne Kisi apane kal main bhi bhool kar kahin likh rakhi ho masarratain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...