Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhainzamanay bhar ki kadoratoun ko muhabbatoun se mita k dekhain
andheri rahon main ban k jugno dikhaaen rasta musafiroun kohar eak dil ko karain munawwar nazar nazar jagmaga k dekhain
chopa hoa hai jo hasratoun main talaash es ki tumhain bhe ho gedoroun-e-dil jo aa gaey hain wo sare par de utha k dekhain
agar muyassar hai chashm-e-bena tu wo nigahoun k saamnay haijo zarray zarray main bas raha hai usay nigahain jhuka k dekhain
wohi tu hai jo kamaal-e-fan se nizaam-e-duniya chala raha haijo uski hasti ko dekhna ho wajoud-e-hasti main aa k dekain
sama k soraj ki roushni main mitaaen duniya se teerge kofalak ki chadar pe ban k tare har ek shab jhilmila k dekhain
ghubar-e-dil ko bana k badal zamen pe barsain tu piyaar ban karnaaey shagofoun ki aankh ban k chaman chaman muskora k dekhain
wajood apna ho patharoun main tu naam apna ho laal-o-marjankabhi samandar main ban k moti sadaf k dil main sama k dekhain
kabhi tu dil se mita k nafrat muhabbatoun ki niyaaz baantaindiiye muhabat k apnay dil main kabhi tu Muzter jala k dekhain
No comments:
Post a Comment