aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se mahataab utrey dast-e-saaqii mein aftaab aaye
har rag-e-KhuuN mein phir chiraaGhaaN ho saamane phir wo benaqaab aaye
umr ke har waraq pe dil ko nazar teray mehr-o-wafaa ke baab aaye
kar rahaa thaa Gham-e-jahaaN ka hisaab aaj tum yaad behisaab aaye
na gaee tere Gam kee sardaaree dil mein yuun roz inqalaab aaye
jal uThe bazm-e-Ghair kei dar-o-baam jab bhii ham KhaanamaN Kharaab aaye
is tarah apanii Khamushee guuNjeegoya her simt se jawaab aaye
'Faiz' thii raah sar basar manzil ham jahaaN pahuNche kaamayaab aaye
-------------
No comments:
Post a Comment