Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye
Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye
Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak
Laot kar aana kahiN shaam agar ho jaye
Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki
yahaN Diya jale to hawaaoN ki nazar ho jaye
Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai
Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye
Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhaiN
dekh zara ManziloN pe jinhaiN dar'paish safar ho jaye
No comments:
Post a Comment