Ham par tumhari chaah ka ilzaam hi to hai Dushnaam to nahin hai ye ikaraam hi to hai
Karte hain jis pe taa'n, koi jurm to nahin Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hi to hai
Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai Aey jaan-e-jaan ye harf tera naam hi to hai
Dil na-umeed to nahin, na-kaam hi to hai Lambi hai ghum ki shaam, magar shaam hi to hai
Dast-e-falak mein, gardish-e-taqdeer to nahin Dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai
Aakhir to ek roz karegi nazar wafaa Wo yaar-e-khush_khasaal sar-e-baam hi to hai
Bheegi hai raat 'faiz' gazal ebtida karo Waqt-e-sarod dard ka hungaam hi to hai
--------------
No comments:
Post a Comment