Sunday 25 March 2012

pyar ka meetha Ahsaas dilaney laga hai tu


 
pyar ka meetha Ahsaas dilaney laga hai tu
ab to mujh se mujhi ko churaney laga hai tu

teri chahatoon ka chaya hai saroor is qadar
har pal har jagah nazar aney laga hai tu

veeran thi yeh zindagi tere aaney se pehley
khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney laga hai tu

har pal mujhey hota hai bus tera hi Ahsaas
is qadar meri sanson main samaney laga hai tu

ek pal ki bhi doori seh nahi pata hoon main
hoke juda kyun mujhey aazmaney laga hai tu

rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan
ke ban saya sath mere aaney laga hai tu

naam koi bhi loon to naam aaye tera labon pe
ban ke jadu meri rooh main samaney laga hai tu

teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera
ghul ke sath lahoo ke nas nas main samaney laga hai tu

janey kaun si dor hai teri aur khinch le jati hai
mujh ko apni dewani bananey laga hai tu

tasavoor main aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
chod ke duniya meri bahon main samaney laga hai tu

yeh to bata ke kya naam doo is dewangi ko
bechen ker ke har lamha mujhey tadpaney laga hai tu

terey khayalon se mehakney lagti hai zindgi meri
mere zahen-o-dil pe is qadar chaney laga hai tu

yeh masumiyat yeh bholapan yeh sadgi teri
mujh ko har ada se ab sataney laga hai tu

zist ke rahon main dhoop thi har taraf
apney pyar ki barish ko barsaney laga hai tu

shayed kya is baat ka tujhey hai Ahsaas
merey har sher main har Ghazal main aaney laga hai tu

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...